ghuTan thi aur nafrat ka dhuan tha
ghuTan thī aur nafrat kā dhuāñ thā
jo donoñ aadmī ke darmiyāñ thā
maiñ jab bhī dosto be-āshiyāñ thā
mire sar par yahī ik āsmāñ thā
maiñ us se 'adl kī ummīd rakhtā
ta'assub jis ke chehre par 'ayāñ thā
huā ḳhush-hāl to pakḌā hai dāman
maiñ thā jab muztarib to tū kahāñ thā
vahāñ bāzār nafrat kā lagā hai
jahāñ ḳhushiyoñ kā mere āshiyāñ thā
vahāñ se pyāsā 'ātif' aa gayā hai
jahāñ par pyaar kā dariyā ravāñ thā
ghuTan thi aur nafrat ka dhuan tha
jo donon aadmi ke darmiyan tha
main jab bhi dosto be-ashiyan tha
mere sar par yahi ek aasman tha
main us se 'adl ki ummid rakhta
ta'assub jis ke chehre par 'ayan tha
hua KHush-haal to pakDa hai daman
main tha jab muztarib to tu kahan tha
wahan bazar nafrat ka laga hai
jahan KHushiyon ka mere aashiyan tha
wahan se pyasa 'atif' aa gaya hai
jahan par pyar ka dariya rawan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.