ghuTti hain tamannaen anfas ke aangan mein
ghuTtī haiñ tamannā.eñ anfās ke āñgan meñ
dil ġham se sulagtā hai jab aas ke āñgan meñ
sadiyoñ se hai ye pyāsā chāhat ke rasūloñ kā
bargad koī sūkhā sā iflās ke āñgan meñ
jalvoñ kī tamāzat ne phūloñ kī nazākat ne
kyā kyā na khilā.e gul almās ke āñgan meñ
hañsne ko taraste haiñ taqdīr pe rote haiñ
ġhunche mirī hasrat ke haiñ yaas ke āñgan meñ
rauñdā hai taḳhayyul ke phūloñ ko 'ziyā-zaḳhmī'
ik mehr-e-daraḳhshāñ ne akkās ke āñgan meñ
ghuTti hain tamannaen anfas ke aangan mein
dil gham se sulagta hai jab aas ke aangan mein
sadiyon se hai ye pyasa chahat ke rasulon ka
bargad koi sukha sa iflas ke aangan mein
jalwon ki tamazat ne phulon ki nazakat ne
kya kya na khilae gul almas ke aangan mein
hansne ko taraste hain taqdir pe rote hain
ghunche meri hasrat ke hain yas ke aangan mein
raunda hai taKHayyul ke phulon ko 'ziya-zaKHmi'
ek mehr-e-daraKHshan ne akkas ke aangan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.