git bante hue har saz se Dar lagta hai
giit bante hue har saaz se Dar lagtā hai
ḳhāmushī ab tirī āvāz se Dar lagtā hai
pahle āġhāz thā anjām se ḳhā.if lekin
aaj anjām ko āġhāz se Dar lagtā hai
tū ne har daur meñ kī ham pe ināyat lekin
zindagī ab tire e.ajāz se Dar lagtā hai
phir kisī taaj kī zid tuul pakaḌ le na kahīñ
ghar ke har shaah ko mumtāz se Dar lagtā hai
ḳhauf aatā hai tabī.at ke khule rahne se
be-ḳhatar soch kī parvāz se Dar lagtā hai
terī har baat ke andāz nirāle haiñ 'rafī.a'
tujh se vābasta har ik raaz se Dar lagtā hai
git bante hue har saz se Dar lagta hai
KHamushi ab teri aawaz se Dar lagta hai
pahle aaghaz tha anjam se KHaif lekin
aaj anjam ko aaghaz se Dar lagta hai
tu ne har daur mein ki hum pe inayat lekin
zindagi ab tere eajaz se Dar lagta hai
phir kisi taj ki zid tul pakaD le na kahin
ghar ke har shah ko mumtaz se Dar lagta hai
KHauf aata hai tabiat ke khule rahne se
be-KHatar soch ki parwaz se Dar lagta hai
teri har baat ke andaz nirale hain 'rafia'
tujh se wabasta har ek raaz se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.