git KHwabon ki tarah dur se chal kar aae
giit ḳhvāboñ kī tarah duur se chal kar aa.e
raat aa.ī to ujāloñ ke payambar aa.e
ġham kī qindīl jalāo ki bahut mumkin hai
koī mehmān sar-e-shām mire ghar aa.e
apne bichhḌe hue sūraj kā ḳhayāl aate hī
sāmne vaqt ke tārīk samandar aa.e
zehn maflūj rivāyat kī thakan chehroñ par
haa.e kis shaan se mahfil meñ suḳhanvar aa.e
tanz karne mirī jaltī huī tanhā.ī par
ārzūoñ ke tarāshe hue paikar aa.e
log phirte haiñ yahāñ harf-e-malāmat kī tarah
zindagānī kā yaqīñ aa.e to kyūñkar aa.e
dil meñ is tarh ruke dard-e-vafā ke lamhe
jis tarah shahr meñ changez kā lashkar aa.e
jis taraf majma’-e-ahbāb khaḌā thā 'jāmī'
ham pe aa.e to usī samt se patthar aa.e
git KHwabon ki tarah dur se chal kar aae
raat aai to ujalon ke payambar aae
gham ki qindil jalao ki bahut mumkin hai
koi mehman sar-e-sham mere ghar aae
apne bichhDe hue suraj ka KHayal aate hi
samne waqt ke tarik samandar aae
zehn mafluj riwayat ki thakan chehron par
hae kis shan se mahfil mein suKHanwar aae
tanz karne meri jalti hui tanhai par
aarzuon ke tarashe hue paikar aae
log phirte hain yahan harf-e-malamat ki tarah
zindagani ka yaqin aae to kyunkar aae
dil mein is tarh ruke dard-e-wafa ke lamhe
jis tarah shahr mein changez ka lashkar aae
jis taraf majma’-e-ahbab khaDa tha 'jami'
hum pe aae to usi samt se patthar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.