gila-e-jaur nahin shikwa-e-bedad nahin
gila-e-jaur nahīñ shikva-e-bedād nahīñ
ham giraftār-e-balā ḳhūgar-e-fariyād nahīñ
zauq-e-parvāz hai baaqī na tamannā-e-bahār
shaad huuñ shaad ki minnat-kash-e-sayyād nahīñ
dil vahī josh vahī aur ḳhayālāt vahī
kaun kahtā hai ki zindāñ meñ ham āzād nahīñ
pās-e-ādāb-e-mohabbat hai ki ḳhāmosh huuñ maiñ
ye na samjho ki mujhe tāqat-e-faryād nahīñ
tā-kujā kashmakash-e-ranj-e-asīrī sayyād
kyā mirī qaid-e-sitam kī koī mī.ād nahīñ
dil-kashī ālam-e-ġhurbat kī na pūchho mujh se
intihā ye hai ki ab ghar bhī mujhe yaad nahīñ
hāsil-e-zīst hai qurbān-e-tajallī honā
zindagī ḳhaak hai jo ishq meñ barbād nahīñ
allah allāh ye majbūrī-e-bīmār-e-firāq
sabr kī taab nahīñ tāqat-e-faryād nahīñ
kyā huā aap kā vo 'razmī'-e-shorīda mizāj
aaj kyoñ mahfil-e-ishrat meñ vo nāshād nahīñ
gila-e-jaur nahin shikwa-e-bedad nahin
hum giraftar-e-bala KHugar-e-fariyaad nahin
zauq-e-parwaz hai baqi na tamanna-e-bahaar
shad hun shad ki minnat-kash-e-sayyaad nahin
dil wahi josh wahi aur KHayalat wahi
kaun kahta hai ki zindan mein hum aazad nahin
pas-e-adab-e-mohabbat hai ki KHamosh hun main
ye na samjho ki mujhe taqat-e-faryaad nahin
ta-kuja kashmakash-e-ranj-e-asiri sayyaad
kya meri qaid-e-sitam ki koi miad nahin
dil-kashi aalam-e-ghurbat ki na puchho mujh se
intiha ye hai ki ab ghar bhi mujhe yaad nahin
hasil-e-zist hai qurban-e-tajalli hona
zindagi KHak hai jo ishq mein barbaad nahin
allah allah ye majburi-e-bimar-e-firaq
sabr ki tab nahin taqat-e-faryaad nahin
kya hua aap ka wo 'razmi'-e-shorida mizaj
aaj kyon mahfil-e-ishrat mein wo nashad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.