gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein
gila hai apne muqaddar kī be-hisī se hameñ
aur is se baḌh ke shikāyat hai zindagī se hameñ
kabhī nigār-e-lab-e-sho.ala-vash kā zikr chalā
kabhī hisār-e-ġham-e-jāñ milā kisī se hameñ
kabhī thā qurb meñ ik iztirāb kā aalam
kabhī qarār milā terī be-ruḳhī se hameñ
kabhī malāl huā iltifāt-e-paiham se
kabhī ḳhushī thī bahut tark-e-dostī se hameñ
kabhī gumāñ ki ye duniyā hai ik fareb-e-nazar
yaqīn bhī hai ḳhudā ke vajūd hī se hameñ
hayāt-e-jehd-e-musalsal meñ kyoñ hai sargardāñ
zarā patā to chale ilm-o-āgahī se hameñ
agarche dil ko milī thī naved-e-sub.h-e-jamāl
najāt mil na sakī shab kī tīrgī se hameñ
khaḌe haiñ dasht-e-balā-ḳhez meñ barahna-pā
milā hai izn-e-safar jazba-e-ḳhudī se hameñ
'sabā' ye kaun sī manzil hai dasht-e-imkāñ meñ
na āshnā se ġharaz hai na ajnabī se hameñ
gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein
aur is se baDh ke shikayat hai zindagi se hamein
kabhi nigar-e-lab-e-shoala-wash ka zikr chala
kabhi hisar-e-gham-e-jaan mila kisi se hamein
kabhi tha qurb mein ek iztirab ka aalam
kabhi qarar mila teri be-ruKHi se hamein
kabhi malal hua iltifat-e-paiham se
kabhi KHushi thi bahut tark-e-dosti se hamein
kabhi guman ki ye duniya hai ek fareb-e-nazar
yaqin bhi hai KHuda ke wajud hi se hamein
hayat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardan
zara pata to chale ilm-o-agahi se hamein
agarche dil ko mili thi nawed-e-subh-e-jamal
najat mil na saki shab ki tirgi se hamein
khaDe hain dasht-e-bala-KHez mein barahna-pa
mila hai izn-e-safar jazba-e-KHudi se hamein
'saba' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkan mein
na aashna se gharaz hai na ajnabi se hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.