gila hai na ab hai shikayat kisi ki
gila hai na ab hai shikāyat kisī kī
mazā de ga.ī vo nadāmat kisī kī
khapī jaatī hai phir bhī āñkhoñ meñ kyā kyā
yūhīñ sī hai gul meñ shabāhat kisī kī
qayāmat hai kis tarah bardāsht hogī
mohabbat ke badle mohabbat kisī kī
azal ibtidā hai abad intihā hai
na pūchho asīrī kī muddat kisī kī
nahīñ aur kuchh ḳhuld-o-dozaḳh kā manshā
vo duurī kisī kī ye qurbat kisī kī
nigāhoñ meñ hai zahr hoñToñ meñ amrit
hayāt-o-ajal haiñ karāmat kisī kī
ġham-o-ranj-o-hirmān-o-dard-e-judā.ī
milā ham ko kyā kyā badaulat kisī kī
kaleje se kyūñkar lagā.e na rakkhūñ
fishānī hai dāġh-e-mohabbat kisī kī
adāoñ ne maarā huā naam ajal kā
hai tohmat kisī par sharārat kisī kī
har ik baar man man ke vo rūThte haiñ
bigaḌtī hai ban ban ke qismat kisī kī
shikast-e-ḳhudī kā suhānā vo naġhma
vo uzr-e-taġhāful meñ luknat kisī kī
judā.ī ko muddat huī phir bhī ab tak
nigāhoñ meñ phirtī hai sūrat kisī kī
gila hai na ab hai shikayat kisi ki
maza de gai wo nadamat kisi ki
khapi jati hai phir bhi aankhon mein kya kya
yuhin si hai gul mein shabahat kisi ki
qayamat hai kis tarah bardasht hogi
mohabbat ke badle mohabbat kisi ki
azal ibtida hai abad intiha hai
na puchho asiri ki muddat kisi ki
nahin aur kuchh KHuld-o-dozaKH ka mansha
wo duri kisi ki ye qurbat kisi ki
nigahon mein hai zahr honTon mein amrit
hayat-o-ajal hain karamat kisi ki
gham-o-ranj-o-hirman-o-dard-e-judai
mila hum ko kya kya badaulat kisi ki
kaleje se kyunkar lagae na rakkhun
fishani hai dagh-e-mohabbat kisi ki
adaon ne mara hua nam ajal ka
hai tohmat kisi par shararat kisi ki
har ek bar man man ke wo ruThte hain
bigaDti hai ban ban ke qismat kisi ki
shikast-e-KHudi ka suhana wo naghma
wo uzr-e-taghaful mein luknat kisi ki
judai ko muddat hui phir bhi ab tak
nigahon mein phirti hai surat kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.