gila kisi ka kare kyon koi KHuda ke liye
gila kisi ka kare kyon koi KHuda ke liye
Syed Shabbir Hassan Rizvi
MORE BYSyed Shabbir Hassan Rizvi
gila kisī kā kare kyoñ koī ḳhudā ke liye
jafā jafā ke liye hai vafā vafā ke liye
hai soz-o-sāz kā rishta ki lāzim-o-malzūm
balā hai dil ke liye aur dil balā ke liye
miTā sakeñge na sāmān-e-'aish us kā asar
milā hai dard dukhoñ se mirī du'ā ke liye
nazar se chhup ke nigāhoñ meñ sirf phir jaanā
nazar ne duur se bose tirī adā ke liye
kidhar hai barq-e-qazā dekh mere hāsil ko
kiyā hai jam' ye ḳhirman tirī razā ke liye
pasand kar liyā us ko bahisht vāloñ ne
sharaf ḳhudā ne vo baḳhshā hai karbalā ke liye
ham un ko yaad haiñ sad-shukr kyā 'ināyat hai
qusūr DhūñD ke paidā kiye jafā ke liye
jamāl-o-naḳhvat-o-ḳhud-bīnī-o-ḳhud-ārā.ī
jo kuchh hai tere liye kab hai māsivā ke liye
ḳharāb kyoñ mirī miTTī ho bū-turābī huuñ
najaf kī ḳhaak hai zāmin mirī shifā ke liye
nazar phirātā hai shorīda-sar bahut 'shabbīr'
uThā na bazm se ai but ise ḳhudā ke liye
gila kisi ka kare kyon koi KHuda ke liye
jafa jafa ke liye hai wafa wafa ke liye
hai soz-o-saz ka rishta ki lazim-o-malzum
bala hai dil ke liye aur dil bala ke liye
miTa sakenge na saman-e-'aish us ka asar
mila hai dard dukhon se meri du'a ke liye
nazar se chhup ke nigahon mein sirf phir jaana
nazar ne dur se bose teri ada ke liye
kidhar hai barq-e-qaza dekh mere hasil ko
kiya hai jam' ye KHirman teri raza ke liye
pasand kar liya us ko bahisht walon ne
sharaf KHuda ne wo baKHsha hai karbala ke liye
hum un ko yaad hain sad-shukr kya 'inayat hai
qusur DhunD ke paida kiye jafa ke liye
jamal-o-naKHwat-o-KHud-bini-o-KHud-arai
jo kuchh hai tere liye kab hai masiwa ke liye
KHarab kyon meri miTTi ho bu-turabi hun
najaf ki KHak hai zamin meri shifa ke liye
nazar phiraata hai shorida-sar bahut 'shabbir'
uTha na bazm se ai but ise KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.