gila kisi se dil-e-sogwar mat karna
gila kisī se dil-e-sogvār mat karnā
jo be-sukūñ hai use be-qarār mat karnā
ḳhizāñ kī zid hai ki ye kārobār mat karnā
kalī se phuul se ḳhushbū se pyaar mat karnā
junūñ hazār sahī apnā dāman-e-kirdār
darīda karnā magar dāġh-dār mat karnā
na maiñ charāġh na maiñ āsmān kā taarā
savād-e-shām mirā intizār mat karnā
kahīñ kahīñ pe ḳhamoshī bhī jurm hotī hai
har ik jagah pe sukūt iḳhtiyār mat karnā
fareb khaa.e haiñ itnā ki dil ye kahtā hai
bahār meñ bhī yaqīn-e-bahār mat karnā
usī se jaatī hai insāñ kī aabrū 'zākir'
ġhalat shi.ār kabhī iḳhtiyār mat karnā
gila kisi se dil-e-sogwar mat karna
jo be-sukun hai use be-qarar mat karna
KHizan ki zid hai ki ye karobar mat karna
kali se phul se KHushbu se pyar mat karna
junun hazar sahi apna daman-e-kirdar
darida karna magar dagh-dar mat karna
na main charagh na main aasman ka tara
sawad-e-sham mera intizar mat karna
kahin kahin pe KHamoshi bhi jurm hoti hai
har ek jagah pe sukut iKHtiyar mat karna
fareb khae hain itna ki dil ye kahta hai
bahaar mein bhi yaqin-e-bahaar mat karna
usi se jati hai insan ki aabru 'zakir'
ghalat shiar kabhi iKHtiyar mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.