gila kuchh un se na unki jafa-taraazi se
gila kuchh un se na un kī jafā-tarāzī se
milā huuñ ḳhaak meñ yāroñ kī chārasāzī se
maiñ kam nahīñ kisī saa.im kisī namāzī se
ki mai-kade meñ guzartī hai pāk-bāzī se
zabāñ muñh meñ mire dī hai gāliyāñ de kar
ḳhajil haiñ dil meñ kuchh apnī zabāñ-darāzī se
tum āsmān bane ho satā satā ke mujhe
bulandī naam huā hai jafā-tarāzī se
na pūchhte mire dil ko na haath se jaatā
gila hai mujh ko faqat un kī dil-navāzī se
butoñ kī sajda-guzārī kā Dhab na thā ma.alūm
salīqa ham ne ye sīkhā baḌe namāzī se
Daregī tum se qayāmat ajī ma.āz-allāh
dikhā do aañkh ki ruk jaa.e fitna-sāzī se
nazar na Daal mire be-shumār jurmoñ par
ba.iid kyā hai tirī shān-e-be-niyāzī se
kahīñ se sub.h-e-qayāmat ubhar nahīñ saktī
burī dabī hai shab-e-hijr kī darāzī se
ye kyā sitam hai kisī tarah tum nahīñ milte
milo na dil se milo to zamāna-sāzī se
butoñ se pahle irādat thī ka.aba vāloñ ko
binā-e-ishq-e-haqīqī paḌī majāzī se
hai āsmāñ ko bhī gardish zamīñ ko bhī chakkar
bachā na koī tumhārī nishāne-bāzī se
sharāb-ḳhāne meñ jā baiThe do ghaḌī ke liye
milī bhī ham ko jo fursat qimār-bāzī se
mile the kal hameñ maiḳhāne meñ vahī 'safdar'
liye jo sub.ha nazar aate haiñ namāzī se
gila kuchh un se na un ki jafa-taraazi se
mila hun KHak mein yaron ki chaarasazi se
main kam nahin kisi saim kisi namazi se
ki mai-kade mein guzarti hai pak-bazi se
zaban munh mein mere di hai galiyan de kar
KHajil hain dil mein kuchh apni zaban-daraazi se
tum aasman bane ho sata sata ke mujhe
bulandi nam hua hai jafa-taraazi se
na puchhte mere dil ko na hath se jata
gila hai mujh ko faqat un ki dil-nawazi se
buton ki sajda-guzari ka Dhab na tha malum
saliqa hum ne ye sikha baDe namazi se
Daregi tum se qayamat aji maaz-allah
dikha do aankh ki ruk jae fitna-sazi se
nazar na Dal mere be-shumar jurmon par
baid kya hai teri shan-e-be-niyazi se
kahin se subh-e-qayamat ubhar nahin sakti
buri dabi hai shab-e-hijr ki daraazi se
ye kya sitam hai kisi tarah tum nahin milte
milo na dil se milo to zamana-sazi se
buton se pahle iradat thi kaba walon ko
bina-e-ishq-e-haqiqi paDi majazi se
hai aasman ko bhi gardish zamin ko bhi chakkar
bacha na koi tumhaari nishane-bazi se
sharab-KHane mein ja baiThe do ghaDi ke liye
mili bhi hum ko jo fursat qimar-bazi se
mile the kal hamein maiKHane mein wahi 'safdar'
liye jo subha nazar aate hain namazi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.