gila kyon ho mili hum ko wafa kam
gila kyoñ ho milī ham ko vafā kam
zamāne se hamīñ the āshnā kam
ḳhushāmad kam talab kam iltijā kam
virāsat meñ hameñ ye sab milā kam
bayāñ kartā phirūñ hāl-e-ġham-e-dil
merī aadat meñ ye shāmil rahā kam
butoñ vaale butoñ se Dar rahe haiñ
ḳhudā vāloñ ko hai ḳhauf-e-ḳhudā kam
mire dāman pe haiñ jin kī nigāheñ
vo shāyad dekhte haiñ aa.ina kam
kabhī maiñ paañv phailā kar na soyā
mire qad se rahī merī ridā kam
zabāñ par 'ehtishām' aaya to un kī
huā to kuchh diloñ meñ fāsla kam
gila kyon ho mili hum ko wafa kam
zamane se hamin the aashna kam
KHushamad kam talab kam iltija kam
wirasat mein hamein ye sab mila kam
bayan karta phirun haal-e-gham-e-dil
meri aadat mein ye shamil raha kam
buton wale buton se Dar rahe hain
KHuda walon ko hai KHauf-e-KHuda kam
mere daman pe hain jin ki nigahen
wo shayad dekhte hain aaina kam
kabhi main panw phaila kar na soya
mere qad se rahi meri rida kam
zaban par 'ehtisham' aaya to un ki
hua to kuchh dilon mein fasla kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.