gila tera karun main be wafa kya
gila tera karun main be wafa kya
Mansooruddin Quraishi Mansoor
MORE BYMansooruddin Quraishi Mansoor
gila terā karūñ maiñ be vafā kyā
tū merā kyā kisī kā bhī huā kyā
añdherā sā mujhe kyoñ lag rahā hai
charāġh-e-ārzū-e-dil bujhā kyā
rahī duniyā to mujh se duur lekin
sharīk-e-ġham mirā tū bhī huā kyā
kisī se kyoñ maiñ sharmā.ūñ jahāñ meñ
kabhī dast-e-talab merā baḌhā kyā
bahār-e-nau sabhī lā.eñge mil kar
shagūfe kyā anādil kyā sabā kyā
jo harakat husn kī hotī hai mub.ham
usī ko log kahte haiñ adā kyā
agar hai ibtidā sab kī musallam
to phir lā intihā kī ibtidā kyā
gila tera karun main be wafa kya
tu mera kya kisi ka bhi hua kya
andhera sa mujhe kyon lag raha hai
charagh-e-arzu-e-dil bujha kya
rahi duniya to mujh se dur lekin
sharik-e-gham mera tu bhi hua kya
kisi se kyon main sharmaun jahan mein
kabhi dast-e-talab mera baDha kya
bahaar-e-nau sabhi laenge mil kar
shagufe kya anadil kya saba kya
jo harakat husn ki hoti hai mubham
usi ko log kahte hain ada kya
agar hai ibtida sab ki musallam
to phir la intiha ki ibtida kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.