gila nahin ki kinaron ne sath chhoD diya
gilā nahīñ ki kināroñ ne saath chhoḌ diyā
mire safīne kā dhāroñ ne saath chhoḌ diyā
rah-e-hayāt meñ manzil kā aasrā kaisā
qadam qadam pe ġhubāroñ ne saath chhoḌ diyā
har ek ruḳh se sajā hotā zindagī ko magar
maiñ kyā karūñ ki bahāroñ ne saath chhoḌ diyā
udaas dil ne agar giit gungunāyā bhī
shikasta-sāz ke tāroñ ne saath chhoḌ diyā
sulag rahī hai abhī tak vo aag siine meñ
lagā ke jis ko sharāroñ ne saath chhoḌ diyā
nazar-navāz mazāq-e-nazar na 'zeb' huā
tire latīf ishāroñ ne saath chhoḌ diyā
gila nahin ki kinaron ne sath chhoD diya
mere safine ka dhaaron ne sath chhoD diya
rah-e-hayat mein manzil ka aasra kaisa
qadam qadam pe ghubaron ne sath chhoD diya
har ek ruKH se saja hota zindagi ko magar
main kya karun ki bahaaron ne sath chhoD diya
udas dil ne agar git gungunaya bhi
shikasta-saz ke taron ne sath chhoD diya
sulag rahi hai abhi tak wo aag sine mein
laga ke jis ko shararon ne sath chhoD diya
nazar-nawaz mazaq-e-nazar na 'zeb' hua
tere latif ishaaron ne sath chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.