gilas ek kanch ka TuTa paDa hai
gilās ik kāñch kā TuuTā paḌā hai
mujhe lagtā hai vo ghar aa gayā hai
abābīleñ jo yuuñ chakrā rahī haiñ
sandesa āsmāñ tak jā chukā hai
ye ghar shāyad abhī taaza girā hai
koī malbe ke nīche jī rahā hai
ye pahle is qadar mailā nahīñ thā
na jaane āsmāñ ko kyā huā hai
idhar kuchh āhaTeñ hone lagī haiñ
koī ḳhālī makāñ meñ chal rahā hai
vahī jhūlā hai ab laḌkī nahīñ hai
akelā peḌ āñgan meñ khaḌā hai
'sahar' meñ ab kabhī rotī nahīñ huuñ
koī aañsū purānā chubh rahā hai
gilas ek kanch ka TuTa paDa hai
mujhe lagta hai wo ghar aa gaya hai
ababilen jo yun chakra rahi hain
sandesa aasman tak ja chuka hai
ye ghar shayad abhi taza gira hai
koi malbe ke niche ji raha hai
ye pahle is qadar maila nahin tha
na jaane aasman ko kya hua hai
idhar kuchh aahaTen hone lagi hain
koi KHali makan mein chal raha hai
wahi jhula hai ab laDki nahin hai
akela peD aangan mein khaDa hai
'sahar' mein ab kabhi roti nahin hun
koi aansu purana chubh raha hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.