gile shikwe bhulana aa gaya phir
gile shikve bhulānā aa gayā phir
ġhamoñ pe muskurānā aa gayā phir
tū khelā hai hamesha dil se mere
hameñ bhī dil dukhānā aa gayā phir
mirī tasvīr le to jā rahe ho
use dil se lagānā aa gayā phir
merī har baat ko parkhā hai tum ne
mujhe bhī āzmānā aa gayā phir
tumhārī yaad se vābasta hai dil
tumheñ dil se bhulānā aa gayā phir
hamesha pher ke muñh baat karnā
hameñ bhī ruuTh jaanā aa gayā phir
kisī ke ek se rahte nahīñ din
kahīñ merā zamāna aa gayā phir
ḳhudā ne baḳhsh dī taufīq 'kāshif'
hameñ bhī sar jhukānā aa gayā phir
gile shikwe bhulana aa gaya phir
ghamon pe muskurana aa gaya phir
tu khela hai hamesha dil se mere
hamein bhi dil dukhana aa gaya phir
meri taswir le to ja rahe ho
use dil se lagana aa gaya phir
meri har baat ko parkha hai tum ne
mujhe bhi aazmana aa gaya phir
tumhaari yaad se wabasta hai dil
tumhein dil se bhulana aa gaya phir
hamesha pher ke munh baat karna
hamein bhi ruTh jaana aa gaya phir
kisi ke ek se rahte nahin din
kahin mera zamana aa gaya phir
KHuda ne baKHsh di taufiq 'kashif'
hamein bhi sar jhukana aa gaya phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.