gir paDa hun to qarib aa ke uTha lo mujhko
gir paḌā huuñ to qarīb aa ke uThā lo mujh ko
maiñ bahar-hāl huuñ insān sa.mbhālo mujh ko
bārish-e-sang-e-malāmat hai har ik jānib se
aa.ina huuñ maiñ tumhārā hī bachā lo mujh ko
dhuup hai ġham kī bahut tez jalā jaatā huuñ
chhāñv meñ apnī mohabbat kī biThā lo mujh ko
birhā kā giit huuñ mazlūm kī āvāz huuñ maiñ
tum jo chāho to hasīñ naġhma banā lo mujh ko
maiñ diyā huuñ ki nahīñ mahloñ meñ jalne ke liye
ho añdherā jo kisī ghar meñ jalā lo mujh ko
maiñ vafā-kesh huuñ sahrā ho ki maqtal ho 'payām'
de ke āvāz jahāñ chāho bulā lo mujh ko
gir paDa hun to qarib aa ke uTha lo mujh ko
main bahar-haal hun insan sambhaalo mujh ko
barish-e-sang-e-malamat hai har ek jaanib se
aaina hun main tumhaara hi bacha lo mujh ko
dhup hai gham ki bahut tez jala jata hun
chhanw mein apni mohabbat ki biTha lo mujh ko
birha ka git hun mazlum ki aawaz hun main
tum jo chaho to hasin naghma bana lo mujh ko
main diya hun ki nahin mahlon mein jalne ke liye
ho andhera jo kisi ghar mein jala lo mujh ko
main wafa-kesh hun sahra ho ki maqtal ho 'payam'
de ke aawaz jahan chaho bula lo mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.