girah lab pe jo muddaa ho gaya
girah lab pe jo mudda.ā ho gayā
vo dil meñ mire aabla ho gayā
samajhte haiñ vo farz is kī shikast
mirā dil bhī ahd-e-vafā ho gayā
kahūñ kyā na dekheñ jo merī taraf
taġhāful sharīk-e-hayā ho gayā
vo karte haiñ sun kar sitam aur bhī
mirā naala shukr-e-jafā ho gayā
qayāmat huī us kī raftār se
ye hañgāma hañgāma-zā ho gayā
bad-o-nek kā un pe kyā e'tirāz
jo chāhā kiyā jo kiyā ho gayā
shab-e-vasl hone kī hai ye dalīl
shab-e-hijr se din sivā ho gayā
asar sab khichā us kī guftār meñ
mirā naala bhī nā-rasā ho gayā
vo sūrat hai dilkash ki is zulm par
zamāna tirā mubtalā ho gayā
milā de jigar ko bhī dil meñ ḳhudā
ki ab shauq had se sivā ho gayā
ġham-o-ranj-o-hirmān-o-andoh ko
mirā siina mulk-e-baqā ho gayā
mohabbat meñ ilzām kyā dil ko duuñ
ye gumrāh thā mujh ko kyā ho gayā
hujūm-e-balā-hā-e-hijrāñ na pūchh
tujhe kyā jo kuchh ho gayā ho gayā
anal-ishq kahnā na aayā magar
ki mansūr anal-haq-sarā ho gayā
ye taqvā javānī meñ 'sālik' magar
bure vaqt meñ pārsā ho gayā
girah lab pe jo muddaa ho gaya
wo dil mein mere aabla ho gaya
samajhte hain wo farz is ki shikast
mera dil bhi ahd-e-wafa ho gaya
kahun kya na dekhen jo meri taraf
taghaful sharik-e-haya ho gaya
wo karte hain sun kar sitam aur bhi
mera nala shukr-e-jafa ho gaya
qayamat hui us ki raftar se
ye hangama hangama-za ho gaya
bad-o-nek ka un pe kya e'tiraaz
jo chaha kiya jo kiya ho gaya
shab-e-wasl hone ki hai ye dalil
shab-e-hijr se din siwa ho gaya
asar sab khicha us ki guftar mein
mera nala bhi na-rasa ho gaya
wo surat hai dilkash ki is zulm par
zamana tera mubtala ho gaya
mila de jigar ko bhi dil mein KHuda
ki ab shauq had se siwa ho gaya
gham-o-ranj-o-hirman-o-andoh ko
mera sina mulk-e-baqa ho gaya
mohabbat mein ilzam kya dil ko dun
ye gumrah tha mujh ko kya ho gaya
hujum-e-bala-ha-e-hijran na puchh
tujhe kya jo kuchh ho gaya ho gaya
anal-ishq kahna na aaya magar
ki mansur anal-haq-sara ho gaya
ye taqwa jawani mein 'salik' magar
bure waqt mein parsa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.