gireban chaak kar le hosh se begana ho jae
girebāñ chaak kar le hosh se begāna ho jaa.e
bharosa kuchh nahīñ kab aadmī dīvāna ho jaa.e
ḳhudā mahfūz rakkhe in ḳhumār-ālūda āñkhoñ se
ye jis mai-ḳhvār ko dekheñ vahī mastāna ho jaa.e
maza jab hai tumhāre ishq meñ ye zindagī apnī
jale itnī ke jal kar sūrat-e-parvāna ho jaa.e
ḳhudā ne un kī āñkhoñ meñ ajab tāsīr baḳhshī hai
vo jis par ik nazar Daale vahī dīvāna ho jaa.e
tumhārī bazm meñ 'farmān' kī to kyā haqīqat hai
jo aa jaa.e vo apnī zaat se begāna ho jaa.e
gireban chaak kar le hosh se begana ho jae
bharosa kuchh nahin kab aadmi diwana ho jae
KHuda mahfuz rakkhe in KHumar-aluda aankhon se
ye jis mai-KHwar ko dekhen wahi mastana ho jae
maza jab hai tumhaare ishq mein ye zindagi apni
jale itni ke jal kar surat-e-parwana ho jae
KHuda ne un ki aankhon mein ajab tasir baKHshi hai
wo jis par ek nazar Dale wahi diwana ho jae
tumhaari bazm mein 'farman' ki to kya haqiqat hai
jo aa jae wo apni zat se begana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.