giri hai barq chaman mein kahan nahin malum
giri hai barq chaman mein kahan nahin malum
Shaikh Hasan Mushkil Afkari
MORE BYShaikh Hasan Mushkil Afkari
girī hai barq chaman meñ kahāñ nahīñ ma.alūm
chaman phuñkā ki jalā āshiyāñ nahīñ ma.alūm
kisī ko dil tirā dard-e-nihāñ nahīñ ma.alūm
kahāñ milegī tujhe ab amaañ nahīñ ma.alūm
badal rahā hai ye nazm-e-hayāt hī apnā
ki ho rahī hai mohabbat javāñ nahīñ ma.alūm
ye jāntā huuñ faqat jal rahā hai dil merā
nikal rahā hai kahāñ se dhuāñ nahīñ ma.alūm
bhaTak rahā huuñ har ik rahguzar se vārafta
kidhar hai gard kahāñ kārvāñ nahīñ ma.alūm
dil-e-ḳharāb ko ab fursat-e-talāsh kahāñ
ḳhalish zarūr hai lekin kahāñ nahīñ ma.alūm
guzar rahā huuñ junūñ kī jilau meñ ai 'mushkil'
ye zauq le ke chalā hai kahāñ nahīñ ma.alūm
giri hai barq chaman mein kahan nahin malum
chaman phunka ki jala aashiyan nahin malum
kisi ko dil tera dard-e-nihan nahin malum
kahan milegi tujhe ab aman nahin malum
badal raha hai ye nazm-e-hayat hi apna
ki ho rahi hai mohabbat jawan nahin malum
ye jaanta hun faqat jal raha hai dil mera
nikal raha hai kahan se dhuan nahin malum
bhaTak raha hun har ek rahguzar se warafta
kidhar hai gard kahan karwan nahin malum
dil-e-KHarab ko ab fursat-e-talash kahan
KHalish zarur hai lekin kahan nahin malum
guzar raha hun junun ki jilau mein ai 'mushkil'
ye zauq le ke chala hai kahan nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.