giri jo chhat to naya saeban DhunD liya
girī jo chhat to nayā sā.ebān DhūñD liyā
na.ī rutoñ se muzayyan jahān DhūñD liyā
nazar 'uqāb sī raftār hai havā jaisī
pahuñch gayā vo hadaf par nishān DhūñD liyā
mujhe to koī bhī mushkil na aa.ī raste meñ
maiñ naqsh-e-pā pe chalā aur makān DhūñD liyā
na.e sitāre nayā chāñd bhī banānā hai
so un ke vāste ik āsmān DhūñD liyā
jo chāho bhūlnā 'bāsit' ko bhuul sakte ho
magar batāo koī qadr-dān DhūñD liyā
giri jo chhat to naya saeban DhunD liya
nai ruton se muzayyan jahan DhunD liya
nazar 'uqab si raftar hai hawa jaisi
pahunch gaya wo hadaf par nishan DhunD liya
mujhe to koi bhi mushkil na aai raste mein
main naqsh-e-pa pe chala aur makan DhunD liya
nae sitare naya chand bhi banana hai
so un ke waste ek aasman DhunD liya
jo chaho bhulna 'basit' ko bhul sakte ho
magar batao koi qadr-dan DhunD liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.