girta raha ek yaad ka malba mere aage
girta raha ek yaad ka malba mere aage
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
girtā rahā ik yaad kā malba mire aage
bichhtā hī gayā hijr meñ rasta mire aage
vo jin ko faūlun ke sivā ilm nahīñ hai
karte haiñ bahut shor-sharāba mire aage
maiñ vahshat-e-bātin se use kartā musaḳhḳhar
rakkhā hī nahīñ qais ne naqsha mire aage
ik umr suḳhan karte hue guzrī hai lekin
aaya hī nahīñ sher achhūtā mire aage
har gaam mayassar rahe bas ijz kī sīḌhī
kuchh ma.anī nahīñ rakhtā hai rutba mire aage
maiñ sar-tā-qadam oḌh ke rakhtā tujhe 'jāmī'
ik baar kabhī tū jo mahaktā mire aage
girta raha ek yaad ka malba mere aage
bichhta hi gaya hijr mein rasta mere aage
wo jin ko faulun ke siwa ilm nahin hai
karte hain bahut shor-sharaba mere aage
main wahshat-e-baatin se use karta musaKHKHar
rakkha hi nahin qais ne naqsha mere aage
ek umr suKHan karte hue guzri hai lekin
aaya hi nahin sher achhuta mere aage
har gam mayassar rahe bas ijz ki siDhi
kuchh mani nahin rakhta hai rutba mere aage
main sar-ta-qadam oDh ke rakhta tujhe 'jami'
ek bar kabhi tu jo mahakta mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.