girte girte sambhal raha hun main
girte girte sambhal rahā huuñ maiñ
dastaras se nikal rahā huuñ maiñ
dhuup kā bhī ajab tamāsha hai
apne saa.e pe chal rahā huuñ maiñ
guftugū hai merī gulāboñ sī
shaḳhsiyat meñ kañval rahā huuñ maiñ
dhuup jab se malī hai chehre par
rafta rafta pighal rahā huuñ maiñ
gird mere hai vahshatoñ kā hujūm
ek jañgal meñ pal rahā huuñ maiñ
ek hichkī kā khel hai 'māhir'
is qadar kyuuñ machal rahā huuñ maiñ
girte girte sambhal raha hun main
dastaras se nikal raha hun main
dhup ka bhi ajab tamasha hai
apne sae pe chal raha hun main
guftugu hai meri gulabon si
shaKHsiyat mein kanwal raha hun main
dhup jab se mali hai chehre par
rafta rafta pighal raha hun main
gird mere hai wahshaton ka hujum
ek jangal mein pal raha hun main
ek hichki ka khel hai 'mahir'
is qadar kyun machal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.