girte girte sanbhal bhi sakta hai
girte girte sañbhal bhī saktā hai
aadmī hai badal bhī saktā hai
kuchh bhī qīmat nahīñ sadāqat kī
khoTā sikka to chal bhī saktā hai
mujh se bāteñ karo na hañs hañs kar
dekh kar koī jal bhī saktā hai
ḳhalish-e-dil aziiz hai mujh ko
varna kāñTā nikal bhī saktā hai
rone vaale rahe ḳhayāl is kā
ashk palkoñ se Dhal bhī saktā hai
apnā dāman sañbhāl kar rakhiye
koī dhabba machal bhī saktā hai
ab mayassar kahāñ hai vo lamha
jis kā ġham ho ki Tal bhī saktā hai
ġham se lagtī hai choT bhī dil par
ġham se insāñ bahal bhī saktā hai
aañkh kī rahguzar se ho ke 'shamīm'
ḳhvāb siine meñ pal bhī saktā hai
girte girte sanbhal bhi sakta hai
aadmi hai badal bhi sakta hai
kuchh bhi qimat nahin sadaqat ki
khoTa sikka to chal bhi sakta hai
mujh se baaten karo na hans hans kar
dekh kar koi jal bhi sakta hai
KHalish-e-dil aziz hai mujh ko
warna kanTa nikal bhi sakta hai
rone wale rahe KHayal is ka
ashk palkon se Dhal bhi sakta hai
apna daman sanbhaal kar rakhiye
koi dhabba machal bhi sakta hai
ab mayassar kahan hai wo lamha
jis ka gham ho ki Tal bhi sakta hai
gham se lagti hai choT bhi dil par
gham se insan bahal bhi sakta hai
aankh ki rahguzar se ho ke 'shamim'
KHwab sine mein pal bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.