girya-e-shab mujhe shab-bhar ko jagata bhi nahin
girya-e-shab mujhe shab-bhar ko jagātā bhī nahīñ
aur vo hai ki mire ḳhvāb meñ aatā bhī nahīñ
itnā saudā bhī nahīñ hai ki dar-e-sang pe jaa.eñ
bār-e-sar hai ki mirā shāna uThātā bhī nahīñ
dil-e-vīrāñ ko kahā us ne lagā kar Thokar
ab koī aisī jagah ḳhaak uḌātā bhī nahīñ
itnī fursat hī kahāñ us ko mujhe ḳhaak kare
aur phir barq se merā koī naatā bhī nahīñ
kahnā hotā hai jo sab kah bhī vo detā hai magar
apne she'roñ meñ mirā zikr vo laatā bhī nahīñ
us ko mā'lūm hai ashkoñ kī tapish kā 'ālam
is liye mujh ko nigāhoñ se girātā bhī nahīñ
girya-e-shab mujhe shab-bhar ko jagata bhi nahin
aur wo hai ki mere KHwab mein aata bhi nahin
itna sauda bhi nahin hai ki dar-e-sang pe jaen
bar-e-sar hai ki mera shana uThata bhi nahin
dil-e-viran ko kaha us ne laga kar Thokar
ab koi aisi jagah KHak uData bhi nahin
itni fursat hi kahan us ko mujhe KHak kare
aur phir barq se mera koi nata bhi nahin
kahna hota hai jo sab kah bhi wo deta hai magar
apne she'ron mein mera zikr wo lata bhi nahin
us ko ma'lum hai ashkon ki tapish ka 'alam
is liye mujh ko nigahon se giraata bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.