girya na ho sakega tere rahguzar mein
girya na ho sakegā tire rahguzār meñ
ab jaan hī nahīñ hai tire sogvār meñ
haamī zamīn kā hai nazar āsmāñ pe hai
kuchh to ġhurūr sā hai tire inkisār meñ
mat pūchh haa.e umr vo kitnī darāz thī
ham ne guzār dī jo tire intizār meñ
saare jahāñ ne us ko batāyā thā bevafā
phir bhī kamī na aa.ī mire e.atibār meñ
tū thā ke jā milā thā raqīboñ se aur ham
tujh ko talāshte rahe har ġham-gusār meñ
hamvār koī sang tarāzū na kar sakā
laayā gayā jo dard hamārā shumār meñ
ro luuñ abhī ki mohlat-e-ġham de rahā hai dil
kal ye bhī phir rahe na mire iḳhtiyār meñ
do-gām chal ke saath mire tū ba-qadr-e-shauq
paidā na kar umiid dil-e-be-qarār meñ
kab se uThā rahā hai ziyāñ par ziyāñ ġharīb
dil ko lagā diyā hai ye kis kārobār meñ
imdād ko na aa.e vo un kī ḳhatā nahīñ
āvāz hī nahīñ thī hamārī pukār meñ
girya na ho sakega tere rahguzar mein
ab jaan hi nahin hai tere sogwar mein
hami zamin ka hai nazar aasman pe hai
kuchh to ghurur sa hai tere inkisar mein
mat puchh hae umr wo kitni daraaz thi
hum ne guzar di jo tere intizar mein
sare jahan ne us ko bataya tha bewafa
phir bhi kami na aai mere eatibar mein
tu tha ke ja mila tha raqibon se aur hum
tujh ko talashte rahe har gham-gusar mein
hamwar koi sang taraazu na kar saka
laya gaya jo dard hamara shumar mein
ro lun abhi ki mohlat-e-gham de raha hai dil
kal ye bhi phir rahe na mere iKHtiyar mein
do-gam chal ke sath mere tu ba-qadr-e-shauq
paida na kar umid dil-e-be-qarar mein
kab se uTha raha hai ziyan par ziyan gharib
dil ko laga diya hai ye kis karobar mein
imdad ko na aae wo un ki KHata nahin
aawaz hi nahin thi hamari pukar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.