girya-o-zari ka saman uTha lete hain
girya-o-zārī kā sāmān uThā lete haiñ
hijr meñ 'mīr' kā dīvān uThā lete haiñ
koī lailā bhī nahīñ apnī kahānī meñ magar
sar pe ham dasht-o-bayābān uThā lete haiñ
ham ko talvār se raġhbat to nahīñ hai sā.īñ
haañ magar ho ke pareshān uThā lete haiñ
aise tājir ki jinheñ suud gavārā ho faqat
rāh-e-ulfat meñ vo nuqsān uThā lete haiñ
maiñ muḳhātib huuñ kisī aur munāfiq se miyāñ
aap kyoñ haath meñ qur.ān uThā lete haiñ
be-jhijhak aap mohabbat ko jatāyā kiije
ham hasīnoñ ke to ehsān uThā lete haiñ
girya-o-zari ka saman uTha lete hain
hijr mein 'mir' ka diwan uTha lete hain
koi laila bhi nahin apni kahani mein magar
sar pe hum dasht-o-bayaban uTha lete hain
hum ko talwar se raghbat to nahin hai sain
han magar ho ke pareshan uTha lete hain
aise tajir ki jinhen sud gawara ho faqat
rah-e-ulfat mein wo nuqsan uTha lete hain
main muKHatib hun kisi aur munafiq se miyan
aap kyon hath mein quran uTha lete hain
be-jhijhak aap mohabbat ko jataya kije
hum hasinon ke to ehsan uTha lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.