girya-zari bhi karun shor machaun main bhi
girya-zārī bhī karūñ shor machā.ūñ maiñ bhī
hālat hāl-e-parindoñ ko sunā.ūñ maiñ bhī
zindagī roz nayā ruup dikhātī hai mujhe
arsa-e-jism kabhī chhoḌ ke jā.ūñ maiñ bhī
hazrat-e-qais agar aap ijāzat de deñ
kabhī vahshat ke liye dasht meñ aa.uuñ maiñ bhī
saare māhaul ko de duuñ kisī tābīr kā vajd
apnī mastī meñ koī ḳhvāb sunā.ūñ maiñ bhī
maiñ koī ishq karūñ haar ke jiitā huā ishq
yaanī ushshāq meñ kuchh naam kamā.ūñ maiñ bhī
aaj tanhā.ī ke manzar ne sujhāyā hai 'sa.īd'
mausam-e-hijr kī tasvīr banā.ūñ maiñ bhī
girya-zari bhi karun shor machaun main bhi
haalat haal-e-parindon ko sunaun main bhi
zindagi roz naya rup dikhati hai mujhe
arsa-e-jism kabhi chhoD ke jaun main bhi
hazrat-e-qais agar aap ijazat de den
kabhi wahshat ke liye dasht mein aaun main bhi
sare mahaul ko de dun kisi tabir ka wajd
apni masti mein koi KHwab sunaun main bhi
main koi ishq karun haar ke jita hua ishq
yani ushshaq mein kuchh nam kamaun main bhi
aaj tanhai ke manzar ne sujhaya hai 'said'
mausam-e-hijr ki taswir banaun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.