go ab mere wujud pe sar hai na dosh hai
go ab mire vujūd pe sar hai na dosh hai
phir bhī vahī junūñ vahī josh-o-ḳharosh hai
tujh sā koī nahīñ hai vagarna jahān meñ
koī zahīn hai to koī saḳht-kosh hai
tū ne rakhā na halqa-e-ahbāb meñ jise
vo shaḳhs aaj bhī tirā halqa-ba-gosh hai
ran meñ hameñ rajaz kī zarūrat nahīñ ki ab
itnā badan meñ ḳhuun nahīñ jitnā josh hai
idrāk se fuzūñ hai mirī hālat-e-junūñ
tū jāntā nahīñ ki tujhe 'aql-o-hosh hai
insān ke mizāj meñ yaksāniyat nahīñ
maiñ kaise maan jā.ūñ ki banda sarosh hai
itnā ġhurūr qasr-e-shahī par na kījiye
yaañ koī mustaqil nahīñ ḳhāna-ba-dosh hai
bas maiñ hī chup nahīñ huuñ sar-e-bostān-e-'ishq
bulbul bhī gul ke saath barābar ḳhamosh hai
ye kaun paḌh rahā hai marāsī aniis ke
har samt marhabā kī sadā zeb-e-gosh hai
vo aañkh aañkh hai ki jo rakhtī hai mā'rifat
vo gosh gosh hai jo haqīqat-niyosh hai
maiñ jo huā huuñ qarya-ba-qarya zalīl-o-ḳhvār
is meñ bhī tere tarz-e-taġhāful kā dosh hai
vā'iz burā na kah mirī bazm-e-nashāt ko
yaañ par tirī bahisht se kam nāv-nosh hai
itnī shafaq-numā hai ruḳh-e-yār kī phaban
jitnī charāġh-e-shām kī lau surḳh-posh hai
go ab mere wujud pe sar hai na dosh hai
phir bhi wahi junun wahi josh-o-KHarosh hai
tujh sa koi nahin hai wagarna jahan mein
koi zahin hai to koi saKHt-kosh hai
tu ne rakha na halqa-e-ahbab mein jise
wo shaKHs aaj bhi tera halqa-ba-gosh hai
ran mein hamein rajaz ki zarurat nahin ki ab
itna badan mein KHun nahin jitna josh hai
idrak se fuzun hai meri haalat-e-junun
tu jaanta nahin ki tujhe 'aql-o-hosh hai
insan ke mizaj mein yaksaniyat nahin
main kaise man jaun ki banda sarosh hai
itna ghurur qasr-e-shahi par na kijiye
yan koi mustaqil nahin KHana-ba-dosh hai
bas main hi chup nahin hun sar-e-bostan-e-'ishq
bulbul bhi gul ke sath barabar KHamosh hai
ye kaun paDh raha hai marasi anis ke
har samt marhaba ki sada zeb-e-gosh hai
wo aankh aankh hai ki jo rakhti hai ma'rifat
wo gosh gosh hai jo haqiqat-niyosh hai
main jo hua hun qarya-ba-qarya zalil-o-KHwar
is mein bhi tere tarz-e-taghaful ka dosh hai
wa'iz bura na kah meri bazm-e-nashat ko
yan par teri bahisht se kam naw-nosh hai
itni shafaq-numa hai ruKH-e-yar ki phaban
jitni charagh-e-sham ki lau surKH-posh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.