go ba-zahir to mehrban hain aap
go ba-zāhir to mehrbāñ haiñ aap
jāntā huuñ ki bad-gumāñ haiñ aap
intizām-e-chaman nahīñ hotā
kyā kahūñ kaise bāġhbāñ haiñ aap
ma.anī-e-pāsbāñ nahīñ ma.alūm
kaun maane ki pāsbāñ haiñ aap
kārvāñ har qadam pe luTtā hai
vāqa.ī mīr-e-kārvāñ haiñ aap
is meñ gunjā.ish-e-kalām nahīñ
kishvar-e-dil ke hukmrāñ haiñ aap
apnī hastī pe naaz hai mujh ko
merī hastī ke rāz-dāñ haiñ aap
aap se mujh ko rabt-e-mohkam hai
zarra maiñ mehr-e-zau-fishāñ haiñ aap
hazrat-e-abr-ahsani ke tufail
kahāñ 'aḳhtar' the ab kahāñ haiñ aap
go ba-zahir to mehrban hain aap
jaanta hun ki bad-guman hain aap
intizam-e-chaman nahin hota
kya kahun kaise baghban hain aap
mani-e-pasban nahin malum
kaun mane ki pasban hain aap
karwan har qadam pe luTta hai
waqai mir-e-karwan hain aap
is mein gunjaish-e-kalam nahin
kishwar-e-dil ke hukmran hain aap
apni hasti pe naz hai mujh ko
meri hasti ke raaz-dan hain aap
aap se mujh ko rabt-e-mohkam hai
zarra main mehr-e-zau-fishan hain aap
hazrat-e-abr-ahsani ke tufail
kahan 'aKHtar' the ab kahan hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.