go dil ke dukh dilon mein chhupae hue hain log
go dil ke dukh diloñ meñ chhupā.e hue haiñ log
apnā janāza aap uThā.e hue haiñ log
kis taur se deñ aur ko hamdardī-o-ḳhulūs
ḳhud aap zindagī ke satā.e hue haiñ log
aa.egā ab na koī masīhā najāt kā
bekār hī umiid lagā.e hue haiñ log
tā aane vaalī nasl añdheroñ meñ kho na jaa.e
ḳhuuñ ke charāġh aaj jalā.e hue haiñ log
mahrūmī-e-nasīb kā kis se gila kareñ
jis ke fareb saikḌoñ khaa.e hue haiñ log
aa.e nazar jahāñ na koī pesh koī pas
ye ḳhud ko kis maqām pe laa.e hue haiñ log
har samt terī baat sunī jā.egī 'nadīm'
har chand tujh ko aaj bhulā.e hue haiñ log
go dil ke dukh dilon mein chhupae hue hain log
apna janaza aap uThae hue hain log
kis taur se den aur ko hamdardi-o-KHulus
KHud aap zindagi ke satae hue hain log
aaega ab na koi masiha najat ka
bekar hi umid lagae hue hain log
ta aane wali nasl andheron mein kho na jae
KHun ke charagh aaj jalae hue hain log
mahrumi-e-nasib ka kis se gila karen
jis ke fareb saikDon khae hue hain log
aae nazar jahan na koi pesh koi pas
ye KHud ko kis maqam pe lae hue hain log
har samt teri baat suni jaegi 'nadim'
har chand tujh ko aaj bhulae hue hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.