go kisi ka pyar hun dastar hun iman hun
go kisī kā pyaar huuñ dastār huuñ īmān huuñ
apne ghar meñ maiñ magar bekār sā sāmān huuñ
shīshagar tū ne nafāsat se tarāshā hai mujhe
kyā ḳhabar tujh ko ki ab patthar kā ik maidān huuñ
koī paḌhtā hai mujhe shām-o-sahar yuuñ bā-vazū
aur kisī ke vāste saada sā ik farmān huuñ
chal rahī huuñ haule haule chāñd kī mānind maiñ
ye bhī sach hai kahkashāñ kā ek raushan-dān huuñ
hai pahanñī ḳhaak kī nikhrī qabā ik din 'shaġhaf'
āḳhirī din kā abhī se dekhiye sāmān huuñ
go kisi ka pyar hun dastar hun iman hun
apne ghar mein main magar bekar sa saman hun
shishagar tu ne nafasat se tarasha hai mujhe
kya KHabar tujh ko ki ab patthar ka ek maidan hun
koi paDhta hai mujhe sham-o-sahar yun ba-wazu
aur kisi ke waste sada sa ek farman hun
chal rahi hun haule haule chand ki manind main
ye bhi sach hai kahkashan ka ek raushan-dan hun
hai pahanni KHak ki nikhri qaba ek din 'shaghaf'
aaKHiri din ka abhi se dekhiye saman hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.