go mujhe zist ne aaram se rahne na diya
go mujhe ziist ne ārām se rahne na diyā
ashk āñkhoñ se magar ek bhī bahne na diyā
ham ulaTte hī rahe rū-e-munavvar se naqāb
shaam se tā-ba-sahar chāñd ko gahne na diyā
tāb-e-nazāra-e-māshūq kahāñ āshiq ko
tuur par hosh meñ muusā ko bhī rahne na diyā
kar diyā chup but-e-kāfir ne ishāra kar ke
dāvar-e-hashr se kuchh bhī mujhe kahne na diyā
har ghaḌī haath meñ rakkhā hai qafas ko 'jauhar'
mujh ko tanhā kabhī sayyād ne rahne na diyā
go mujhe zist ne aaram se rahne na diya
ashk aankhon se magar ek bhi bahne na diya
hum ulaTte hi rahe ru-e-munawwar se naqab
sham se ta-ba-sahar chand ko gahne na diya
tab-e-nazara-e-mashuq kahan aashiq ko
tur par hosh mein musa ko bhi rahne na diya
kar diya chup but-e-kafir ne ishaara kar ke
dawar-e-hashr se kuchh bhi mujhe kahne na diya
har ghaDi hath mein rakkha hai qafas ko 'jauhar'
mujh ko tanha kabhi sayyaad ne rahne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.