go nazar nazar bikhre pattharon ke chehre hain
go nazar nazar bikhre pattharoñ ke chehre haiñ
vādiyoñ ke hāthoñ meñ rāstoñ ke chehre haiñ
kaisā be-yaqīñ paikar mujh meñ aa ke utrā hai
sab uḌe uḌe us kī ḳhushbuoñ ke chehre haiñ
ḳhvāhisheñ to kirneñ haiñ jal bujhīñ to jaañ de deñ
mere dil kī muTThī meñ jugnuoñ ke chehre haiñ
maiñ ki 'aks se le kar aañkh tak akelī huuñ
ā.inoñ meñ phir kaisī mahfiloñ ke chehre haiñ
baat kī samā'at kā e’tibār kaise ho
dostoñ ke lahjoñ meñ tohmatoñ ke chehre haiñ
chhoTī chhoTī bātoñ meñ chhoTe chhoTe rishtoñ meñ
kis qadar qayāmat kī uljhanoñ ke chehre haiñ
dil ke dasht kā manzar aur kaḌe safar kī dhuup
har qadam 'humairā' ab hiddatoñ ke chehre haiñ
go nazar nazar bikhre pattharon ke chehre hain
wadiyon ke hathon mein raston ke chehre hain
kaisa be-yaqin paikar mujh mein aa ke utra hai
sab uDe uDe us ki KHushbuon ke chehre hain
KHwahishen to kirnen hain jal bujhin to jaan de den
mere dil ki muTThi mein jugnuon ke chehre hain
main ki 'aks se le kar aankh tak akeli hun
aainon mein phir kaisi mahfilon ke chehre hain
baat ki sama'at ka e’tibar kaise ho
doston ke lahjon mein tohmaton ke chehre hain
chhoTi chhoTi baaton mein chhoTe chhoTe rishton mein
kis qadar qayamat ki uljhanon ke chehre hain
dil ke dasht ka manzar aur kaDe safar ki dhup
har qadam 'humaira' ab hiddaton ke chehre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.