go sham-sifat pighal rahe hain
go sham'-sifat pighal rahe haiñ
ham sīna-e-shab meñ jal rahe haiñ
kitnoñ ne kiyā thā ‘ahd-e-mohkam
kitne haiñ jo saath chal rahe haiñ
māhaul meñ raushnī kahāñ hai
jalne ko charāġh jal rahe haiñ
bātoñ meñ tirī kahāñ the pahle
mafhūm-e-javāb nikal rahe haiñ
tahzīb-e-hayāt ho rahī hai
ham un kī razā meñ Dhal rahe haiñ
ye tāb-o-tavāñ 'ḳhumār' kab thī
manzil kī lagan meñ chal rahe haiñ
go sham'-sifat pighal rahe hain
hum sina-e-shab mein jal rahe hain
kitnon ne kiya tha ‘ahd-e-mohkam
kitne hain jo sath chal rahe hain
mahaul mein raushni kahan hai
jalne ko charagh jal rahe hain
baaton mein teri kahan the pahle
mafhum-e-jawab nikal rahe hain
tahzib-e-hayat ho rahi hai
hum un ki raza mein Dhal rahe hain
ye tab-o-tawan 'KHumar' kab thi
manzil ki lagan mein chal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.