go sirr-e-irtiqa-o-baqa mera jism hai
go sirr-e-irtiqā-o-baqā merā jism hai
suntā huuñ to fanā kī sadā merā jism hai
maiñ huuñ azal se vaqt kī gardish kā rāz-dār
ye bazm-e-kā.enāt hai kyā merā jism hai
aisā rahā chaman meñ ki mahsūs ye huā
jo gul khilā jo sabza ugā merā jism hai
āñkhoñ ke māvarā jhalak uThtā hai gāh-gāh
vo shoḳh jis kī saada qabā merā jism hai
merī talāsh merī talab be-had-o-hisāb
merī hudūd merī sazā merā jism hai
shab kī dabīz tīrgiyoñ ke javāb meñ
ye ek TimTimātā diyā merā jism hai
ik mushta.il hujūm sar-e-rahguzār thā
pūchhā ki kyā hai maiñ ne kahā merā jism hai
go sirr-e-irtiqa-o-baqa mera jism hai
sunta hun to fana ki sada mera jism hai
main hun azal se waqt ki gardish ka raaz-dar
ye bazm-e-kaenat hai kya mera jism hai
aisa raha chaman mein ki mahsus ye hua
jo gul khila jo sabza uga mera jism hai
aankhon ke mawara jhalak uThta hai gah-gah
wo shoKH jis ki sada qaba mera jism hai
meri talash meri talab be-had-o-hisab
meri hudud meri saza mera jism hai
shab ki dabiz tirgiyon ke jawab mein
ye ek TimTimata diya mera jism hai
ek mushtail hujum sar-e-rahguzar tha
puchha ki kya hai main ne kaha mera jism hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 242)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.