go tere wasl ka lagta nahin imkan jaanan
go tire vasl kā lagtā nahīñ imkāñ jānāñ
ham to kar baiThe tujhe milne kā paimāñ jānāñ
is se pahle to nahīñ dekhā kahīñ tujh sā hasīñ
terī muskān pe ho jā.ūñ maiñ qurbāñ jānāñ
ab bahār aa.egī ruḳhsat ye ḳhizāñ hotī hai
kyoñ samajhtā nahīñ is ko dil-e-nādāñ jānāñ
hāl-e-dil tujh ko sunāne meñ na ho be-adabī
kyā kahūñ soch ke hotā huuñ pareshāñ jānāñ
merī mahfil meñ kamī hai to faqat terī hai
tere bin dil bhī dhaḌaktā hai to jānāñ jānāñ
is qadar girte hue dekhe haiñ insāñ maiñ ne
ḳhud ko Dar lagtā hai kahte hue insāñ jānāñ
tū nahīñ thā to ye dukh-dard mire saath rahe
in ġhamoñ ke bhī to mujh par rahe ehsāñ jānāñ
gar mohabbat hameñ bāzār meñ mil jaatī kahīñ
us ke saude meñ to de dete dil-o-jāñ jānāñ
jo bhī 'sāqib' ne likhī hai vo ġhazal tere liye
aur hotā hī nahīñ koī bhī unvāñ jānāñ
go tere wasl ka lagta nahin imkan jaanan
hum to kar baiThe tujhe milne ka paiman jaanan
is se pahle to nahin dekha kahin tujh sa hasin
teri muskan pe ho jaun main qurban jaanan
ab bahaar aaegi ruKHsat ye KHizan hoti hai
kyon samajhta nahin is ko dil-e-nadan jaanan
haal-e-dil tujh ko sunane mein na ho be-adabi
kya kahun soch ke hota hun pareshan jaanan
meri mahfil mein kami hai to faqat teri hai
tere bin dil bhi dhaDakta hai to jaanan jaanan
is qadar girte hue dekhe hain insan main ne
KHud ko Dar lagta hai kahte hue insan jaanan
tu nahin tha to ye dukh-dard mere sath rahe
in ghamon ke bhi to mujh par rahe ehsan jaanan
gar mohabbat hamein bazar mein mil jati kahin
us ke saude mein to de dete dil-o-jaan jaanan
jo bhi 'saqib' ne likhi hai wo ghazal tere liye
aur hota hi nahin koi bhi unwan jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.