go uski shakl ab hai kuhan-sal ki tarah
go us kī shakl ab hai kuhan-sāl kī tarah
bhūlā nahīñ maiñ gaañv kī chaupāl kī tarah
sahrā-e-hirs-o-āz meñ koī to aa.egā
phailā.ūñ apne aap ko maiñ jaal kī tarah
andar kā ras nichoḌā to shādāb thā bahut
lagtā thā yuuñ to sūkhī huī Daal kī tarah
mujh se kahāñ bachegā ki har rag meñ huuñ nihāñ
phailā huuñ tere jism meñ maiñ jaal kī tarah
kab se hai intizār ki aa.e koī idhar
maiñ dasht meñ huuñ jāda-e-pāmāl kī tarah
go us ki shakl ab hai kuhan-sal ki tarah
bhula nahin main ganw ki chaupal ki tarah
sahra-e-hirs-o-az mein koi to aaega
phailaun apne aap ko main jal ki tarah
andar ka ras nichoDa to shadab tha bahut
lagta tha yun to sukhi hui Dal ki tarah
mujh se kahan bachega ki har rag mein hun nihan
phaila hun tere jism mein main jal ki tarah
kab se hai intizar ki aae koi idhar
main dasht mein hun jada-e-pamal ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.