go uski talKH-mizaji ka kuchh hisab nahin
go us kī talḳh-mizājī kā kuchh hisāb nahīñ
vo bad-zabāñ hai magar aadmī ḳharāb nahīñ
sulagte hoñToñ kī adnā sī ik guzārish par
adā-o-nāz se bole nahīñ janāb nahīñ
pukārte jo mujhe pyaar se to aa jaate
hayā kā aañkh pe pahra thā koī hijāb nahīñ
maiñ intiḳhāb tirā kyā huā mohabbat meñ
zamāna kahtā hai merā koī javāb nahīñ
zarā nigāh to Dāleñ huzūr sāġhar par
ki log kahte haiñ sharbat hai ye sharāb nahīñ
tire hī naam se rusvā huuñ maiñ zamāne meñ
magar ye lagtā hai is se baḌā ḳhitāb nahīñ
raqam hai yād-e-guzishta to muḳhtasar dil par
paḌho to lagtā hai dil se baḌī kitāb nahīñ
go us ki talKH-mizaji ka kuchh hisab nahin
wo bad-zaban hai magar aadmi KHarab nahin
sulagte honTon ki adna si ek guzarish par
ada-o-naz se bole nahin janab nahin
pukarte jo mujhe pyar se to aa jate
haya ka aankh pe pahra tha koi hijab nahin
main intiKHab tera kya hua mohabbat mein
zamana kahta hai mera koi jawab nahin
zara nigah to Dalen huzur saghar par
ki log kahte hain sharbat hai ye sharab nahin
tere hi nam se ruswa hun main zamane mein
magar ye lagta hai is se baDa KHitab nahin
raqam hai yaad-e-guzishta to muKHtasar dil par
paDho to lagta hai dil se baDi kitab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.