go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha
go yaum-e-badr ma.arka-e-kār-zār thā
is shakl meñ vo āyat-e-parvardigār thā
kahte haiñ ek shaḳhs asīrān-e-badr se
rishte meñ ḳhvesh-e-sayyad-e-vālā-tabār thā
vo kaun zauj zainab-e-bint-e-rasūl kā
bulās vo jo sāhib-e-izz-o-vaqār thā
thā hukm-e-ām jo zar-e-fidya ke vāste
dāḳhil har ek is meñ siġhār-o-kibār thā
makke meñ ye ḳhabar jo ga.ī gūñjtī huī
chhūTā adā-e-fidya se jo māl-dār thā
dāmād-e-tājdār-e-madīna asīr-e-ġham
apne adā-e-fidya se be-iḳhtiyār thā
zainab ko dī ḳhabar ye janāb-e-rasūl ne
fidye kā hukm-e-ḳhās magar baar baar thā
jis dam sunā ye hazrat-e-zainab ne mājrā
fidya diyā vo apne gale kā jo haar thā
laayā gayā vo haar huzūr-e-rasūl meñ
dekhā jo us ko aap kā dil be-qarār thā
vo haar kyā thā bāġh-e-mohabbat kā daaġh thā
yā ātish-e-firāq kā taaza sharār thā
vo haar thā ki haar kī sūrat meñ jalva-gar
dāġh-e-ġham-e-ḳhadīja-e-ulfat-shi.ār thā
bhaḌkā.ī us ne ātish-e-furqat dabī huī
ya.anī ġham-e-firāq kī vo yādgār thā
vo aqd ya.anī shān-e-mohabbat kā zinda-dār
āzādī-e-asīr kā bhī chāra-kār thā
'kaifī' yahī vo jur.at-e-iḳhlās ḳhaas thī
jis se ki qasr-e-dīn-e-mubīñ ustuvār thā
go yaum-e-badr marka-e-kar-zar tha
is shakl mein wo aayat-e-parwardigar tha
kahte hain ek shaKHs asiran-e-badr se
rishte mein KHwesh-e-sayyad-e-wala-tabar tha
wo kaun zauj zainab-e-bint-e-rasul ka
bulas wo jo sahib-e-izz-o-waqar tha
tha hukm-e-am jo zar-e-fidya ke waste
daKHil har ek is mein sighaar-o-kibar tha
makke mein ye KHabar jo gai gunjti hui
chhuTa ada-e-fidya se jo mal-dar tha
damad-e-tajdar-e-madina asir-e-gham
apne ada-e-fidya se be-iKHtiyar tha
zainab ko di KHabar ye janab-e-rasul ne
fidye ka hukm-e-KHas magar bar bar tha
jis dam suna ye hazrat-e-zainab ne majra
fidya diya wo apne gale ka jo haar tha
laya gaya wo haar huzur-e-rasul mein
dekha jo us ko aap ka dil be-qarar tha
wo haar kya tha bagh-e-mohabbat ka dagh tha
ya aatish-e-firaq ka taza sharar tha
wo haar tha ki haar ki surat mein jalwa-gar
dagh-e-gham-e-KHadija-e-ulfat-shiar tha
bhaDkai us ne aatish-e-furqat dabi hui
yani gham-e-firaq ki wo yaadgar tha
wo aqd yani shan-e-mohabbat ka zinda-dar
aazadi-e-asir ka bhi chaara-kar tha
'kaifi' yahi wo jurat-e-iKHlas KHas thi
jis se ki qasr-e-din-e-mubin ustuwar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.