go zamana aql-o-danish se sanwarta jae hai
go zamāna aql-o-dānish se sañvartā jaa.e hai
zehn insāñ kā magar phir bhī bikhartā jaa.e hai
chal usī mahfil meñ chal phir ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb
tark-e-rasm-o-rāh kā ehsās martā jaa.e hai
jab se dekhe haiñ chaman meñ āshiyāñ jalte hue
merā dil jashn-e-charāġhāñ se bhī Dartā jaa.e hai
is jahān-e-ġham meñ hotā hai use hāsil sukūñ
apne armānoñ kā jo bhī ḳhuun kartā jaa.e hai
kar rahe haiñ log tasḳhīr-e-mah-o-anjum magar
qā’r-e-'ishrat meñ 'qavī' insāñ utartā jaa.e hai
go zamana aql-o-danish se sanwarta jae hai
zehn insan ka magar phir bhi bikharta jae hai
chal usi mahfil mein chal phir ai dil-e-KHana-KHarab
tark-e-rasm-o-rah ka ehsas marta jae hai
jab se dekhe hain chaman mein aashiyan jalte hue
mera dil jashn-e-charaghan se bhi Darta jae hai
is jahan-e-gham mein hota hai use hasil sukun
apne armanon ka jo bhi KHun karta jae hai
kar rahe hain log tasKHir-e-mah-o-anjum magar
qa’r-e-'ishrat mein 'qawi' insan utarta jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.