god mein panchhi to shaKHon pe samar rakhte hain
god meñ panchhī to shāḳhoñ pe samar rakhte haiñ
ye shajar maañ kī tarah dast-e-hunar rakhte haiñ
choñch-bhar daane liye jaate haiñ bachchoñ ke liye
ye parinde bhī kahāñ zād-e-safar rakhte haiñ
dhuup chaltī nahīñ saaya hai ki ruktā hī nahīñ
ham zamīñ vaale ajab shām-o-sahar rakhte haiñ
suukh jaate haiñ paḌe rahte haiñ tālāboñ meñ
ye kañval apnā alag tarz-e-basar rakhte haiñ
merī bastī meñ baḌī zaat ke rahte haiñ log
fikr-e-dastār nahīñ kāñdhoñ pe sar rakhte haiñ
dosto tīroñ kī āñkheñ to nahīñ hotīñ magar
phir bhī dushman ke Thikānoñ kī ḳhabar rakhte haiñ
ūñchī parvāz ho to jism kā jhaḌnā kaisā
ham parindoñ kī tarah bāl-e-hunar rakhte haiñ
aaj bhī pahle sā bachpan hai hamārā 'ehsān'
ham kitāboñ meñ abhī mor ke par rakhte haiñ
god mein panchhi to shaKHon pe samar rakhte hain
ye shajar man ki tarah dast-e-hunar rakhte hain
chonch-bhar dane liye jate hain bachchon ke liye
ye parinde bhi kahan zad-e-safar rakhte hain
dhup chalti nahin saya hai ki rukta hi nahin
hum zamin wale ajab sham-o-sahar rakhte hain
sukh jate hain paDe rahte hain talabon mein
ye kanwal apna alag tarz-e-basar rakhte hain
meri basti mein baDi zat ke rahte hain log
fikr-e-dastar nahin kandhon pe sar rakhte hain
dosto tiron ki aankhen to nahin hotin magar
phir bhi dushman ke Thikanon ki KHabar rakhte hain
unchi parwaz ho to jism ka jhaDna kaisa
hum parindon ki tarah baal-e-hunar rakhte hain
aaj bhi pahle sa bachpan hai hamara 'ehsan'
hum kitabon mein abhi mor ke par rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.