gosha-e-dil mein koi phul khilae rakkho
gosha-e-dil meñ koī phuul khilā.e rakkho
ek ummīd pe āñgan ko sajā.e rakkho
ḳhushk pattoñ kī tarah asl se kaT jāoge
hai yahī achchhā use apnā banā.e rakkho
merā īmāñ hai use lauT ke ghar aanā hai
taaq meñ koī diyā roz jalā.e rakkho
yaad us kī to kisī taaq meñ rakhne kī nahīñ
ye sahīfa hai use dil se lagā.e rakkho
khul hī jā.egā koī bāb-e-ijābat 'sajjād'
apne hāthoñ ko ba-har-taur uThā.e rakkho
gosha-e-dil mein koi phul khilae rakkho
ek ummid pe aangan ko sajae rakkho
KHushk patton ki tarah asl se kaT jaoge
hai yahi achchha use apna banae rakkho
mera iman hai use lauT ke ghar aana hai
taq mein koi diya roz jalae rakkho
yaad us ki to kisi taq mein rakhne ki nahin
ye sahifa hai use dil se lagae rakkho
khul hi jaega koi bab-e-ijabat 'sajjad'
apne hathon ko ba-har-taur uThae rakkho
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 566)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.