gosha-nashin-e-la-makan wahm-o-KHayal mein bhi aa
gosha-nashin-e-la-makan wahm-o-KHayal mein bhi aa
Musavvir Karanjavi
MORE BYMusavvir Karanjavi
gosha-nashīn-e-lā-makāñ vahm-o-ḳhayāl meñ bhī aa
ālam-e-mumkināt ban amr-e-muhāl meñ bhī aa
jalva-e-zulf-o-ruḳh liye chashm-e-ḳhayāl meñ bhī aa
shām-e-firāq meñ bhī rah sub.h-e-visāl meñ bhī aa
māh-o-shafaq kī shakl meñ shān-e-jamāl bhī dikhā
sūrat-e-barq-e-muztarib shān-e-jalāl meñ bhī aa
sifat-e-abr-e-charḳh se farsh pe ho guhar-fishāñ
bām-e-urūj se kabhī daur-e-zavāl meñ bhī aa
husn-e-majāz kī tarah aa ke mire ḳhayāl meñ
hastī-e-be-misāl tū rang-e-misāl meñ bhī aa
ālam-e-kaif-o-rang se toḌ na rabt-e-bāhamī
rang-e-nashāt meñ bhī rah kaif-e-malāl meñ bhī aa
jaise 'musavvir' aap haiñ naqsh-e-tasavvur-e-hasīñ
ai mere harf-e-dil-nashīñ sūrat-e-hāl meñ bhī aa
gosha-nashin-e-la-makan wahm-o-KHayal mein bhi aa
aalam-e-mumkinat ban amr-e-muhaal mein bhi aa
jalwa-e-zulf-o-ruKH liye chashm-e-KHayal mein bhi aa
sham-e-firaq mein bhi rah subh-e-visal mein bhi aa
mah-o-shafaq ki shakl mein shan-e-jamal bhi dikha
surat-e-barq-e-muztarib shan-e-jalal mein bhi aa
sifat-e-abr-e-charKH se farsh pe ho guhar-fishan
baam-e-uruj se kabhi daur-e-zawal mein bhi aa
husn-e-majaz ki tarah aa ke mere KHayal mein
hasti-e-be-misal tu rang-e-misal mein bhi aa
aalam-e-kaif-o-rang se toD na rabt-e-bahami
rang-e-nashat mein bhi rah kaif-e-malal mein bhi aa
jaise 'musawwir' aap hain naqsh-e-tasawwur-e-hasin
ai mere harf-e-dil-nashin surat-e-haal mein bhi aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.