goshe goshe pe koi naqsh-e-qadam banta hai
goshe goshe pe koī naqsh-e-qadam bantā hai
bante bante kisī raste kā bharam bantā hai
phailtī jaatī hai pahle tirī ḳhushbū har samt
aur phir shahr kā phailāv hajam bantā hai
jis tarah rakkhā gayā thā mirā dil siine meñ
shaah ke vāste mahloñ meñ haram bantā hai
merī nīñdoñ meñ jagah DhūñDne vaale ai dost
nam kisī aañkh meñ hotā nahīñ nam bantā hai
biij gamloñ meñ kabhī peḌ nahīñ ban paatā
dukh tire hijr meñ aatā hai to ġham bantā hai
terī ḳhushbū se tire shahr kā naqsha samjhā
is havāle se mirā fāsla kam bantā hai
goshe goshe pe koi naqsh-e-qadam banta hai
bante bante kisi raste ka bharam banta hai
phailti jati hai pahle teri KHushbu har samt
aur phir shahr ka phailaw hajam banta hai
jis tarah rakkha gaya tha mera dil sine mein
shah ke waste mahlon mein haram banta hai
meri nindon mein jagah DhunDne wale ai dost
nam kisi aankh mein hota nahin nam banta hai
bij gamlon mein kabhi peD nahin ban pata
dukh tere hijr mein aata hai to gham banta hai
teri KHushbu se tere shahr ka naqsha samjha
is hawale se mera fasla kam banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.