goshmali se kab unhon ne asar liya tha
goshmālī se kab unhoñ ne asar liyā thā
sarkashoñ ko jo kaam karnā thā kar liyā thā
jab utar aa.e the vo badla utārne par
gin ke ek ek sar ke badle meñ sar liyā thā
paañv chaukhaT se bāhar us ne nahīñ nikāle
jis ne virse meñ apnī nabzoñ meñ Dar liyā thā
apne hathiyār taaq meñ gar sajā diye the
kyuuñ kisī aise shahr meñ jā ke ghar liyā thā
jis ne shorish meñ fatah paa.ī thī us ne yāsir
bāñdiyoñ se haram-sarāoñ ko bhar liyā thā
goshmali se kab unhon ne asar liya tha
sarkashon ko jo kaam karna tha kar liya tha
jab utar aae the wo badla utarne par
gin ke ek ek sar ke badle mein sar liya tha
panw chaukhaT se bahar us ne nahin nikale
jis ne wirse mein apni nabzon mein Dar liya tha
apne hathiyar taq mein gar saja diye the
kyun kisi aise shahr mein ja ke ghar liya tha
jis ne shorish mein fatah pai thi us ne yasir
bandiyon se haram-saraon ko bhar liya tha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 538)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.