ghubar-e-rah-e-wafa aasman sa lagta hai
ghubar-e-rah-e-wafa aasman sa lagta hai
Saeed Nomani Muradabadi
MORE BYSaeed Nomani Muradabadi
ġhubār-e-rāh-e-vafā āsmāñ sā lagtā hai
har ek zarra yahāñ kahkashāñ sā lagtā hai
ye fāsla mujhe jaane kahāñ pe le jaa.e
vo fāsla jo tire darmiyāñ sā lagtā hai
mire baḌoñ kī duāoñ kā ye karishma hai
ki sar pe mujh ko sadā sā.ebāñ sā lagtā hai
na.ī uḌaan ne yuuñ duur kar diyā ghar se
ki āsmāñ mujhe apnā makāñ sā lagtā hai
yaqīn jāniye ham dil-jaloñ kī bātoñ se
kabhī dhuāñ nahīñ uThtā dhuāñ sā lagtā hai
mire makāñ meñ bhī khilte haiñ rang rang ke phuul
mirā makān bhī hindostāñ sā lagtā hai
'sa.īd' mujh ko to ab zindagī kā har lamha
yaqīñ sā hote hue bhī gumāñ sā lagtā hai
ghubar-e-rah-e-wafa aasman sa lagta hai
har ek zarra yahan kahkashan sa lagta hai
ye fasla mujhe jaane kahan pe le jae
wo fasla jo tere darmiyan sa lagta hai
mere baDon ki duaon ka ye karishma hai
ki sar pe mujh ko sada saeban sa lagta hai
nai uDan ne yun dur kar diya ghar se
ki aasman mujhe apna makan sa lagta hai
yaqin jaaniye hum dil-jalon ki baaton se
kabhi dhuan nahin uThta dhuan sa lagta hai
mere makan mein bhi khilte hain rang rang ke phul
mera makan bhi hindostan sa lagta hai
'said' mujh ko to ab zindagi ka har lamha
yaqin sa hote hue bhi guman sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.