ghubar-e-waqt mein be-rang-o-bu paDa hua main
ġhubār-e-vaqt meñ be-rang-o-bū paḌā huā maiñ
khaḌā huuñ arsa-e-āfāq meñ thakā huā maiñ
tirī nigāh-e-nigārish-talab ko kyā mālūm
ki harf-o-saut se guzrā to kyā se kyā huā maiñ
nujūm bujhte hue kah rahe haiñ sub.h ba-ḳhair
magar vo palkeñ aur un meñ kahīñ jaḌā huā maiñ
ye dekhne ko ki fitrat kahāñ badaltī hai
vo rūThne hī lagā thā ki be-vafā huā maiñ
libās shā.irī kartā hai husn-e-qāmat par
ye be-sabab to nahīñ aa.ina banā huā maiñ
havā-e-sub.h-vatan ik zarā kumak ki kahīñ
dikhā.ī duuñ lab-e-ahbāb par khilā huā maiñ
ye dil varaq hai kisī gum-shuda sahīfe kā
so kyā paḌhūñ ḳhat-e-tansīḳh se bharā huā maiñ
hisāb-e-dost dil-e-dost meñ rahā 'tālib'
phir isti.āroñ kināyoñ meñ ḳharch sā huā maiñ
ghubar-e-waqt mein be-rang-o-bu paDa hua main
khaDa hun arsa-e-afaq mein thaka hua main
teri nigah-e-nigarish-talab ko kya malum
ki harf-o-saut se guzra to kya se kya hua main
nujum bujhte hue kah rahe hain subh ba-KHair
magar wo palken aur un mein kahin jaDa hua main
ye dekhne ko ki fitrat kahan badalti hai
wo ruThne hi laga tha ki be-wafa hua main
libas shairi karta hai husn-e-qamat par
ye be-sabab to nahin aaina bana hua main
hawa-e-subh-watan ek zara kumak ki kahin
dikhai dun lab-e-ahbab par khila hua main
ye dil waraq hai kisi gum-shuda sahife ka
so kya paDhun KHat-e-tansiKH se bhara hua main
hisab-e-dost dil-e-dost mein raha 'talib'
phir istiaron kinayon mein KHarch sa hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.