ghubar-e-zulmat-e-dauran mein aT gaya hun main
ġhubār-e-zulmat-e-daurāñ meñ aT gayā huuñ maiñ
vo chāñd huuñ ki jo mehvar se haT gayā huuñ maiñ
mirī nigāh meñ thī tang vus.at-e-kaunain
ab apnī zaat meñ lekin simaT gayā huuñ maiñ
kahāñ talāsh karūñ jā ke ādamiyyat ko
mire karīm qabīloñ meñ baT gayā huuñ maiñ
naved-e-sub.h kā ḳhurshīd hai kahāñ yā-rab
shab-e-hayāt kī zulmat meñ aT gayā huuñ maiñ
kabhī nasīm ke jhoñkoñ se saañs ruktī hai
kabhī sumūm ke tūfāñ meñ DaT gayā huuñ maiñ
qadam qadam pe yahāñ nafratoñ ke jaal bichhe
kabhī kabhī rah-e-manzil se kaT gayā huuñ maiñ
ye kaun mere tasavvur meñ jalva-farmā hai
vufūr-e-shauq meñ kis se lipaT gayā huuñ maiñ
harīm-e-nāz meñ dikhlā.ī be-ruḳhī kis ne
ki ulTe paañv 'majīdī' palaT gayā huuñ maiñ
ghubar-e-zulmat-e-dauran mein aT gaya hun main
wo chand hun ki jo mehwar se haT gaya hun main
meri nigah mein thi tang wusat-e-kaunain
ab apni zat mein lekin simaT gaya hun main
kahan talash karun ja ke aadamiyyat ko
mere karim qabilon mein baT gaya hun main
nawed-e-subh ka KHurshid hai kahan ya-rab
shab-e-hayat ki zulmat mein aT gaya hun main
kabhi nasim ke jhonkon se sans rukti hai
kabhi sumum ke tufan mein DaT gaya hun main
qadam qadam pe yahan nafraton ke jal bichhe
kabhi kabhi rah-e-manzil se kaT gaya hun main
ye kaun mere tasawwur mein jalwa-farma hai
wufur-e-shauq mein kis se lipaT gaya hun main
harim-e-naz mein dikhlai be-ruKHi kis ne
ki ulTe panw 'majidi' palaT gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.