ghubar-o-sang se diwar-o-dar se rishta hai
ġhubār-o-sang se dīvār-o-dar se rishta hai
na jaane kaisā tirī rahguzar se rishta hai
falak se rishta hai shams-o-qamar se rishta hai
hamāre shauq kā ilm-o-hunar se rishta hai
koī jo aa.e to aa.e bhī kyoñ mirī jānib
kisī kā kaun sā sūkhe shajar se rishta hai
maiñ us se milnā bhī chāhūñ agar milūñ kaise
mirā to shaam se us kā sahar se rishta hai
maiñ sūkhne nahīñ detī kabhī do-ābe ko
kisī ke ġham kā mirī chashm-e-tar se rishta hai
maiñ kyā karūñ vahī merī nazar ko hai manzūr
har ik nigāh kā jis kī nazar se rishta hai
duā.eñ māñgtī rahtī huuñ rāt-din 'resham'
maiñ jāntī huuñ duā kā asar se rishta hai
ghubar-o-sang se diwar-o-dar se rishta hai
na jaane kaisa teri rahguzar se rishta hai
falak se rishta hai shams-o-qamar se rishta hai
hamare shauq ka ilm-o-hunar se rishta hai
koi jo aae to aae bhi kyon meri jaanib
kisi ka kaun sa sukhe shajar se rishta hai
main us se milna bhi chahun agar milun kaise
mera to sham se us ka sahar se rishta hai
main sukhne nahin deti kabhi do-abe ko
kisi ke gham ka meri chashm-e-tar se rishta hai
main kya karun wahi meri nazar ko hai manzur
har ek nigah ka jis ki nazar se rishta hai
duaen mangti rahti hun raat-din 'resham'
main jaanti hun dua ka asar se rishta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.