ghubar sham-e-wasl ka bhi chhaT gaya
ġhubār shām-e-vasl kā bhī chhaT gayā
ye āḳhirī hijāb thā jo haT gayā
huzūrī-o-ġhayāb meñ paḌā nahīñ
mujhe palaTnā aatā thā palaT gayā
tirī galī kā apnā ek vaqt thā
isī meñ merā saarā vaqt kaT gayā
ḳhayāl-e-ḳhām thā so chīḳh uThā huuñ phir
mirā ḳhayāl thā ki maiñ nimaT gayā
hamāre inhimāk kā uḌā mazāq
vahī huā na phir varaq ulaT gayā
bajā ki donoñ vaqt phir se aa mile
magar jo vaqt darmiyāñ se haT gayā
ghubar sham-e-wasl ka bhi chhaT gaya
ye aaKHiri hijab tha jo haT gaya
huzuri-o-ghayab mein paDa nahin
mujhe palaTna aata tha palaT gaya
teri gali ka apna ek waqt tha
isi mein mera sara waqt kaT gaya
KHayal-e-KHam tha so chiKH uTha hun phir
mera KHayal tha ki main nimaT gaya
hamare inhimak ka uDa mazaq
wahi hua na phir waraq ulaT gaya
baja ki donon waqt phir se aa mile
magar jo waqt darmiyan se haT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.